Leherate Hue Kadmo Se

Leherate Hue Kadmo Se

Leherate hue kadmo se terra kamre mein aana....
nigahe jhuka k muskurate hue terra vo sharmana....

apna kaam karne ko terra kuch pal door jana....
phir 'pani pioge' puchne k liye tera vo awaz lagana....
mujhe meri jaan na paani ki pyas thi na terri mezbani ki....
bus mujhe chahiye tha hamesha teri inhi adao ka khazana....

haya k parde ko kuch waqt bhul k terra merre paas akar baithna....
'kaise ho' puchte hue terra mere chehre se apni nigah na hatana....

hamare milan k us khushnasib pal mein merre lab khamosh ho gye....
ek lafz nhi nikal paya bus jawab mein sir haan mein hilana....

na na kehte hue tum mujhse khane ki zidd karne lage....
mere na khane pe apne hatho se ufff vo terra itna pyar se khilana....

gharwalo se thodi fursat paake hum dekhte rahe use barsat ko....
phir mausam ki nazakat aur vo aur kareeb aane ka bahana....

milan ki tadap dil mein per gharwalo k aane ka khauf bhi....
kuch lamho k liye vo likhna labo pe apni mhbt ka fasana....

laut jane ki ghadi jab kareeb aayi dil udas hone laga....
per tanha nhi tha pyar hamara ankho mein tha bite din ka khubsurat nazrana.........

No comments:

Post a Comment

Next previous home