Aye chand use kahana......!!

Aye chand use kahana......!!
Aye chand uspe khushi bahut sajti hai...
Use kahana hamesa muskurati raha kare...!

Uski honthon pe lali jachati hai bahut...
Use kahana hamesa gungunati raha kare...!

Uski aankhe mujhe bahut aachi lagati hai...
Use kahana usme aanshu na kabhi laya kare...!

Ae zindagi udash hai to kya huaa...
Use kahana usme tanhayi na kabhi laya kare...!

Hawaye udati hai bahut zulafen uski...
Use kahana apni sadagi se sabara kare....!

Mai aaunga unse milane jarur....
Use kahana intzar me meri jaada waqt na gujara kare....!

Aye chand use kahana......!!

No comments:

Post a Comment

Next previous home