Udkar Aaya Aaj Ek Parinda Mere Aangan Me...


Udkar Aaya Aaj Ek Parinda Mere Aangan Me...
Kuch Ajeeb Sa Yaaro Wo Bayan Kar Gaya..
Kehta He Tu Kya Jane Mahobbat Hoti Kya He..
Tu To Karke Fir Mahobbat, Mahobbat Ko Aam Kar Gaya..
Yu Na Alfaazo Se Sehlaya Kar Apni Mahobbat Ko..
Tu To Gunaah- E -Aziz Sareaam Kar Gaya..
Na Kar Itna Gurur Apni Mahobbat Par...
Tu To Naam- E -Mahobbat Ko Hi Benaam Kar Gaya...

Kaha Mene.. 

Kaha Thi Teri Nazar Us Waqt Aye Nadaa Parinde..
Jab Wo Shaqs Meri Zindagi Ko Shamshaan Kar Gaya..
Tu Kehta He Gunaah Ho Gaya Jo Mene Ki Sareaam Mahobbat..
Wo Bewafa Shaqs Bhi To Muje Sareaam Badnaam Kar Gaya..
Tu Kehta He Na Karu Me Gurur Apni Dusri Mahobbat Par..
Tu Kya Jane Wo Pehla Shaqs To Muje Maut Ka Gulaam Kar Gaya..
Maaf Kare Aye Parinde Gar Gunaah He Karna Fir Se Mahobbat..
To Ha Muje Khusi He Me Ye Gunaah- E -Aziz Sareaam Kar Gaya.

Kuch Na Kaha Us Parinde Ne, Bas Ro Padi Uski Aankhe..
Aur Wo Jate Jate Zuk Kar Meri Mahobbat Ko Salam Kar Gaya..

No comments:

Post a Comment

Next previous home