Ae Dunia Ke Rakhwale.


Ae dunia ke rakhwale kabhi to sunn gareeb kii...
Kar hum par meharbani badal de rekha naseeb kii...

Sone ya chandi ka chhatr nahi hai chadhane ko tujhe...
Ek phool hai pas isi se fariyad sunn le gareeb kii...

Nahi mangtaa main tumse koi sone chandi ke sikke...
Do pal ki khushiyan jholi mein daal de fakeer kii...

Gar tu suntaa hai fariyad keemat ki adayagi par...
To kuch to keemat laga mere aansuon ke neer kii...

Hum bhi hai insan, hum bhi to hai teri santaan...
Phir kyun deewar khichi hai tere dar par ameer gareeb kii...

Humne to har pal sir jhukaya hai tere charnoo mein...
Par lagta hai tere yahan to chalti hai sirf ameer kii...

Sunn le rabb mere kab se khada hoon choukhat pe teri...
Ab main thak gayaa na le aur pariksha mere dheer ki.....

No comments:

Post a Comment

Next previous home