Usne kaha Mujh se kitna Pyaar hai....

Usne kaha Mujh se kitna Pyaar hai....
Usne kaha Mujh se kitna Pyaar hai....
Maine kaha Sitaron ka koi Shumaar hai....

Usne kaha kon Tumhein hai boht Aziz...
Mai ne kaha Dil pe Jise Ikhtiyar hai....
Usne kaha konsa Tohfa hai pasand..?
Mai ne kaha Wo Shaama jo ab tak Udhaar hai.....

Usane kaha sath kahan tak Nibhao ge..?
Mai ne kaha jitni ye Saanson ki Taar hai....

Usne kaha Mujh ko Yaqeen aaye kis tarah..?
Maine kaha Mera Naam hi Aitbaar hai.......


No comments:

Post a Comment

Next previous home