Kavi ki Kalpnaa

Dupatta laal chunari kaa lipat kar tujhse rehta hai...
Meri pyasi nigaahon par hameshaa hanstaa rehtaa hai...

Kabhi udata hawaaon main Simatta teri baahon main...
Kabhi kaandhe pe bekaboo Sarakta phirta rehta hai...

Tere kaanon main kehta kuchh Ya seene se laga rehtaa...
Teri dhadkan ko gin gin kar Yeh uthta girta rehta hai...

Kabhi teri kamar isski Girafton main bandhi rehti...
Kabhi yeh peeth par kaafir Khisakta khinchtaa rehtaa hai...

Kabhi paunchhe paseene ko Kabhi dhakta hai soorat ko...
Kabhi gaalon ko chhoota hai Kabhi munh lag ke rehtaa hai...

Kabhi kaaleen ban jaata Kabhi godi main sota hai...
Tere haathon ko sehlata Satata mujhko rehtaa hai...

Ise sar na chadhao tum Dupatta hai mera dushman...
Hamaare darmiyaan har waqt Kyon yeh besharm rehta hai...

No comments:

Post a Comment

Next previous home