Yad Aati Hai Wo Bachpan Ki Masumiyat


Yad aati h wo bachpan ki masumiyat, wo bachpan ki shaitani...
yaad aati hai wo suni hui maa ko goud mein kahani...

yad aata h wo barish mein bhigna, phir sardi ke kaaran chhikna...
yad aata hai maa ka apne aachal se sar pochhna, jhutha datna aur kosna...
yad aata papa ke aate hi pichhe padna, ghumne ki zidd krna...
yaad aata hai papa ka bahr ghumana, bde pyar se ice cream dilana...

yaad aati hai wo dosto ki toli, jinke sang kheli thi holi...
yad aata h wo dosto ka rang lagana, pani tanki mein dal kr nahlana...

yad aati h wo khadus madam, jiske dantne se hi nikl jata tha dum...
yad aata h wo school kaa madhyantr, khelte the sabhi dost milkar...

yad aati hai wo pados ki ladki (meri jaan) , khuli rehti thi jiske kamre ki khidki...
yad aata h uska chhup chhup kr dekhna, mere dekhte hi parde ke pichhe chhipna...

yad ata hai wo titli pakdna, kabhi girna kabhi sambhalna...
wo galiyon mein khelna, ghar ke shishe tutne par kisi ek ka bhi na milna...

ab sab bdal gya, na bagiche rahe...
na maidan rhe, na tyohar rahe na yaar rhe...

ab na wo khidki khulti hai aur na hi wo ladki dikhti hai...
na kahin se dosto ki boli sunti hai, na ab holi manti hai...

na barish ka mousam aata hai, na maa ka aanchal pochhta hai...

Bas dikhti hai sirf dunia ki bheed aur bheed mein tanha meri aankh se behta pani...
yadaati hai wo bachpan ki masoomiyat wo bachpan ki shaitani....

No comments:

Post a Comment

Next previous home