Pahli mohabbat ka ahsas bhi kya khas hota hai...
Jannat lagti hai duniya sari jab mahboob pas hota hai...
Raato ko neend aati nhi hai...
Sanam ke bina aur koi surat bhati nhi hai...
Na bhookh lagti hai na pyas lagti hai...
Jab jaan ke deedar ki dil me aas jagti hai...
Mahboob ka har lafaz tab shahad se kam nhi hota...
Jab sar ho mashooq ki agosh me tab mout ka bhi gum nhi hota...
Insan bhi pagal pan ki had tak hota hai...
Kabhi hasta hai yaado me khokar kabhi wo rota hai...
Phir har dua me juban siraf sanam ka naam leti hai...
Pahli mohabbat ke asar ko duniya bina kahe ankho se jaan leti hai...
Jise mile uski to zindagi abad hojati hai...
Jinhe na mile unke hisse bas ye khubsurat yaade hi aati hai...
No comments:
Post a Comment